نظرانداز کرکے مرکزی مواد پر جائیں

Khamosh lab hain jhuki hain palken

Khamosh lab hain jhuki hain palken
Dilon mai ulfat nayi nayi hai
Abhi takaluf hai guftugu mai
Abhi muhabbat nayi nayi hai

Abhi na ayegi neend tum ko
Abhi na hum ko sukoon milega
Abhi to dharke ga dil zyada
Abhi ye chahat nayi nayi hai

Bahaar ka aaj pehla din hai
Chalo chaman mai tehel ke ayen
Fiza mai khushbo nayi nayi hai
Gulon mai rangat nayi nayi hai

Jo khandani raees hain wo
Mizaaj rakhte hain narm apna
Tumhara lehja bata raha hai
Tumhari dolat nayi nayi hai

Zara sa qudrat ne kya nawaza
Ke aake bethe ho pehli saff mai
Abhi se urhne lage hawa mai
Abhi to shohrat nayi nayi hai

تبصرے

اس بلاگ سے مقبول پوسٹس

Moujoda dour mai Ghar ko chor

Moujoda dour mai Ghar ko chor daakoan se mehfoz banane keliye wifi ka hona bohat zarori hai taake aik do bande sari raat jagte rahen

Aa dekh tere pyar mai kha kha kar thokren

Aa dekh tere pyar mai kha kha kar thokren Itna sanbhal gaya hon ke zamana sanbhal lon آ دیکھ تیرے پیار میں کھا کھا کے ٹھوکریں اتنا سنبھل گیا ہوں کہ زمانہ سنبھال لوں

biwi se humbistari ka islami tariqa | بیوی سے ہمبستری کرنے کا اسلامی طریقہ

biwi se humbistari ka islami tariqa | بیوی سے ہمبستری کرنے کا اسلامی طریقہ پڑھنے کے لیے یہاں کلک کریں